Allama Iqbal in urdu

Allama Iqbal

Allama Iqbal was born 9 November 1877 in Sialkot. He is a best Philosopher, Poet and politician, his only one son Mr Javid Iqbal. Sir Allama Mohammad Iqbal wrote poems, books, poems for kids and poetry in Urdu, Arabic and Persian. In this page you will find and read Allama Iqbal biography in Urdu and Hindi.
 
 
 
 
Allama Iqbal

Biodata:

Name: Doctor Allama Mohammad Iqbal
Personality: Philosopher, Poet, politician
Born (Birthday): 9 November 1877
Birth Place: Sialkot (Now Pakistan)
Books: Stray reflections, Shikwah, jawab-e-shikwah, Poems from Iqbal, Allama Iqbal, selected poetry, Tulip in the desert, Ilm Al-Iqtisad, Poems for kids
Education: Government College University, University of Cambridge, Murray College, Ludwig Maximilian University of Munich, Trinity College, Cambridge
Children: Javid Iqbal
Died: 21 April, 1938, Lahore

Allama Iqbal Biography in Urdu:

Allama Iqbal azeem shair , falsafi, musawar Pakistan, 9 November 1877 ko Sialkot mein peda howe. Ibtadai talem ghar mein hoi pher es kach mission school mein dakhil howe. Mir Hasan jese ustad naseeb howe jin se arbi aur farsi mein dastaras hasil ki. 1893 mein Metric 1895 mein FA kiya balib elmi ke zamane se he shayari karne lage they. Ibtada mein Mirza Arshad Gorgani pher Daagh Dehlvi se bhi eslah li magar chand nazmo ki islah ke baad unh one likha ke aap ko eslah ki zarorat nahi. 1895 mein government college Lahore mein dakhla liya aur 1897 mein BA aur 1899 mein MA falsafa ki degree li. BA mein Arbi aur angreezi ke mazmon mein talai tamghe hasil kiye. Arbi ke mazmoon mein to Punjab bhar mein awal rahe. Yahan ustad sir Thams Arnold jese nabgha they jinho ne ap ko arbi afkar-o-adab mein aloom se roshanas karwaya 1901 mein government college Lahore mein English aur falsafa ke assistant prefacer muqarar howe. 1905 tak es ohde per faez rahe es doran ap ki Urdu ki pehli kitab “Ilm-ul-Iqtisad” shaya hoi. 1905 mein Allama Iqbal inglistan gay. Cambridge University ke mashhor zamana college Trinity College mein dakhla liya. BA (honors) ki degree li aur ustadza ki madad se Cambridge mein rehte howe Doctorate ki degree ke liye Munich University Germany mein registration karwai aur 1907 mein apne tehqiqi muqabla “Iran mein ma-ba-du-tabeyat ka irtaqa” per PHD ki Degree li. Es doran Bar At Law kiya, Germany zaban sekhi 6 mah University College London mein arbi ke qaem muqam professor rahe. 1908 mien Allama Mohammad Iqbal wapas Lahore aa kar Lahore Chief Court mein wakalat shoru ki aur government college Lahore mein ba-hesiyat professor dars-o-tadres se wabasta ho gae. 3 mah bad 1911 mein professor ki hesiyat se estafa de diya. Wakalat ka silsila 1934 tak jari raha 1932 mein bartaniya hokumat ne Allama Iqbal ko adbi khidmaat ke aetraf mein “Sir” ka khetab diya. 1926 mein aap ki kitab “Masnavi Israr-e-Khudi” farsi mein shaya ho chuki thi. 1929 mein Allama Iqbal ne English zaban mein khutbe madaris, Masur aur Hyderabad Dakan mein diye. Safar Europe se qabal 1905 tak mutaheda qoumiyat ya Hindustani qoum parasti ke dai they. Bang-e-Dara mein e ski jhalak hai Europe aur es saftein elmi andaz fikar aur taweel mushahede ki wajha se Allama Iqbal 1908 ke baad Islami itehad ke dai ke roop mien samne aaey nazam “ltita-e-Musafir” 1st September 1905 mein aap ne padhi “Israr-e-Khudi” 1913 mein shoru hoi aur 1915 mein mukammal hoi, Ramooz-e-Bekhudi 1918, Payam-e-Mashriq 1923, mein Bang-e-Dara 1924 mein, Zeyor-e-Ajjam 1927 mein, Javed Nama 1932 mein, Baal-e-Jibreel 1935 mein, Musafir 1936 aur pas cha bad kard….aur Zarb-e-Kaleem 1936, Armaghan-e-Hijaz 1938 mein tehrer ki, Armaghan-e-Hijaz aap ke intaqal ke baad shaya hoi. Waseyat nama Iqbal ne 13 October 1935 ko tehrer kar diya tha October 1925 ko Allama Iqbal per Syed Deedar Ali Shah ne kufr ka fatwa diya.

November 1926 mein Allama Iqbal 4 saal ke liye Lahore ki Muslim nishist se Punjab ke sobai isambli ke rukan muntakhib howe. Member ki hesiyat se aap ne kai qawanen pas karwane mein aehum kirdar ada kiya January 1927 mien Allama Iqbal Punjab Muslim League ke general secretary muqar-rar howe they. 1927 mein Shafiq League ki taed ki aur February 1928 mein Simon commission ka bhi kher maqdam kiya. March 1929 mein Quaid-e-Azam ne 14 Nakat pesh kiye to Shafiq league aur league ka dosra dhada pher ek ho gae.

December 1930 mein Quaid-e-Azam ki khahish per Muslim league ke salana ijlas ki dadarat ki aur Pakistan ka tasawar pesh kiya. 1930 se 1932 tak 3 goal maze conference howe jin ke dosre aur tesre ijlas mein shirkat ki. 1932 mien Mohammad Iqbal, Punjab Muslim League ke dadar bane, 21 April 1937 ko aap ne wafaat pai.

List of Allama Iqbal Books:

• Masnavi Israr-e-Khudi
• Bang-e-Dara
• Israr-e-Khudi
• Ramooz-e-Bekhudi
• Payam-e-Mashriq
• Zeyor-e-Ajjam
• Javed Nama
• Baal-e-Jibreel
• Musafir
• pas cha bad kard
• Zarb-e-Kaleem
• Armaghan-e-Hijaz
List of Allama Iqbal Poems:
• Ham Mashriq Ke Musalmanon Ka
• Jinhen Main Dhundhta Tha
• Kabhi Ai Haqiqat-e-Muntazir
• Khird Ke Pas Khabar Ke Siwa
• Tere Ishq Ki Intaha
• Tu Abhi Rahguzar Mein Hai
• Utho Meri Dunya Ke Garibon
• Lab Pe Ati Hai Dua Ban Ke
• Mohabbat Ka Junun
• Ajab Waiz Ki Din Dari Hai
• Ata Hai Yad Mujhko
• Gulzar-e-Hast-o-Bu
• Mumkin Hai Ke Tu Jisako Samajhata Hai
• Nahin Minnat Kash-e-Tab-e-Shanidan
• Sach Kah Dun Ai Brahman Gar Tu
• Sakhtiyan Karta Hun Dil Par
• Sare Jahan Se Acha Hindustan
• Sitaron Se Age Jahan
More Poetry:
• A Spider and A Fly
• Age Of Infancy
• Ahead of the Stars
• First Date Tree Saeeded By Abdul Rahman The Firs
• I Desire
• A Cow and A Goat
• A Longing
• A Mother's Dream
• A Mountain and A Squirrel
• A Prayer
• Jawab-e-Shikwa
• Madness of Love is no more
• Sympathy
• Taraana-e-Milli
• The Intellect And The Heart
• The Interrogation
• The Morning Sun
• The Mosque Of Cordoba
• The One I Was Searching For On the Earth and in Heaven
• The Age Of Infancy
• The Bird's Complaint
• The Candle
• The Candle and The Moth
• The Cloud On The Mountain
• The Colorful Rose
• The Crescent
• The Himalayas
• The Painful Wail
• Mirza Ghalib 7/31/2012
• Mu'tamid's Lament In Prison
• Pathos Of Love
• Said The Coal To A Diamond
• Shikwaa
• Spain
• The Sun
• The Tomb-Stone Of Saiyyid
• The Withered Rose
List of Allama Iqbal Poems for Kids:
• Humderdi
• Aik Makra aur Makhi
• Bechay Ki Dua
• Aik Gaye aur Bakri
• Aik Pehaar aur Gulehri
• Shama-o-Perwana
• Prinday Ki Feryaad
• Maa Ka Khwab
• Aik Prinda aur Jugnoo

Comments

Popular posts from this blog

Sorath Rai Diyach

Gorakh Hill Station

The history of ancient rome colosseum - italy The history of ancient rome colosseum - italy